"BhaRka rahay hain aag lab e Naghma gar say hum"
BhaRka rahay hain aag lab e naghma gar say hum
Khamosh kiya rahein gay zamanay kay dar say hum
Kuch aur barh gayay jo andheray tou kiya hua
Mayoos tou nahin hain talou e sahar say hum
Lay day kay apnay pass faqat ik nazar tou hai
Kiyoun dekhain zindagi ko kisi ki nazar say hum
Mana keh iss zameen ko na gulzar kar sakay
Kuch khar kum tou kar gayay guzray jidhar say hum
Abdul Haye Sahir.
No comments:
Post a Comment